it also famous poem of Ahsin Fayaz it is very best poetry


Kabhi Ham Bhi Ishaq Mein Unke Geet The Likhte

Kabhi Ham Bhi Ishaq Mein Unke
Geet The Likhte
Likhne Ko Kiya Likhe Bas Be-
Tarteeb The Likhte
Ye Maazi Ki Wardat Hai Ye Beety
Dinon Ki Rudad Hai
Ye Baat Purani Baat Hai Ye Baat
Hamein Youn Yaad Hai
Nehr Sey Nange Paon Jo Nikalty
Unka Akas Saja Ke Chalty
Girty Sanbhalty Chalty Chalty Moj
Fizaon Mein Machlty
Kabhi Aks Ada Ka Ban Jaty Kabhi
Lams Hawa Ka Ban Jaty
Kabhi Khayal Un Par Ar Jaaty
Kabhi Yaadon Mein Bhanwar Par
Jaty
Kabhi Pyar Mein Gum Sum Unke
Rehna Kabhi Khamosh, Kis Sey
Kuch Nahin Kehna
Deewanon Sa Haal Tha Apna Ye
DiL-E-Nadaan Kamal Tha Apna
Unko Apni Jeet The Likhte Unko
Apna Meet The Likhte
Kabhi Ham Bhi Ishaq Mein Unke
Geet The Likhte
Kabhi Gaaon Ki Haryali Mein Aa Ke
Kabhi Belon Ke Hall Chala Ke
Shaam Ko Aaty Hansty Muskraty
Aa Ke Gaon Mein DiL Behlaty
Kabhi Sath Nawaly Ke Ungli Chaba
Li Kabhi Chonk Uthe Kabhi Aah
Daba Li
Kabhi Nanha Munha Sa Munh
Bana Ke Geet Ghazlein Khoob The
Gaaty
Kabhi Sapny Saare Neend Ura Kar
Apne Soy Khawab Jaga Kar
Kora Kagaz Pen Utha Kar Apna
Sara Dhayan Laga Kar
Darkhton Ke Neeche Beth Ke
Likhte Kabhi Deewaron Ke
Peechhe Beth Ke Likhte
Kabhi Anaj Manj Kuch Bhi Likhte
Kabhi Soch Samjh Ke Likhte
Kabhi Be-Tarteeb The Likhte Kuch
Is Reet The Likhte
Kabhi Ham Bhi Ishaq Mein Unke
Geet The Likhte




Poetry by Ahsin Fayaz
Read 724 times
Written on 2019-04-27 at 13:40

dott Save as a bookmark (requires login)
dott Write a comment (requires login)
dott Send as email (requires login)
dott Print text


sagi
Good poetry.

Try publishing your poems in Urdu rather than Roman Urdu.
2019-04-28