"yeh nazam main nai apnai sweet mamoon ki shadi par write ki thi
isai write kar k main nai sab sai dad wasool ki sab nai mujhai shabashi di main buhat khoush hoon"'''



Mmoon ki shadi*

buhat dhoom maca rahi thi mamooon ki shaadi
hawaon main odha rahi thi mamoon ki shaadi
nai kapdai nai jotai or haar bhundai
her cheez humain dila rahi thi mamoon ki shadi
ghairon ki rasam apna kar kar rahai thai gana bajana
namaz roza bhulwa rahi thi mamoon ki shaadi
nani nai hamarai chalan daikhai or yeh kaha
hain fani tum or tumhari mamoon ki shaadi
roza namaz awwal hai dinai islam main
ramzan ka haqq ada karo na k mamoon ki shaadi
qayamat k din pehla sawal hoga namaz ka
na k ksai attend ki mamoon kki shaadi
sunn kar hamarai dilon par ho gai raqqat tari
namaz parhi foran bholi mamoon ki shaadi
roozai rakhhai porai or phir aa gai Eid
manai hum nai sadgi sai mamoon ki shaadi





*is nazam ko parh kar mujhai apni raai sai zaroor aagah krain*
Seher Sagheer




Poetry by seher sagheer
Read 737 times
Written on 2006-09-15 at 19:15

Tags Yadain 

dott Save as a bookmark (requires login)
dott Write a comment (requires login)
dott Send as email (requires login)
dott Print text


Arti
agar aap yahaan logon ki rai sun na chahte hain, toh zaroori hai ki aap apni nazam ka angrezi main matlab samjhaein.. kyunki yahaan ise samajhnewale bahut kam hain.
waise aapka yeh nazam mujhe bahut achcha laga... aap bahut achcha likhte hain.
2006-09-15