غربت نے چھینے سینگار کیسے کیسے new Ghaza by Ahsin Fayaz


Ghurbat Ne Chheene Seengar Kaisay Kaisay

Ghurbat Ne Chheene Seengar Kaisay Kaisay
Aur Phir Dikhaay Mujhe Daar Kaisay Kaisay

Ek Teri Khatir Mere Yaar Main Ne,
Dil Pe Khaye Hain Waar Kaisay Kaisay

Raah-e-Ulfat Mein Koi Mujh Sey Poochhe,
Main Luta Hoon Har Baar Kaisay Kaisay

Kaisay Bataaon Ke Meri Ghurbat Ne,
Ganway Hain Mujh Sey Yaar Kaisay Kaisay

Aaya Jab Bhi Teesra Shakhs Beech Mein,
Mat Poochh Phir Toote Etbaar Kaisay Kaisay

Mushkil Waqt Hi To Batata Hai,
Giraty Hain Yahan Mayaar Kaisay Kaisay

Majbooriyan Chheen Letin Hain Sar Ki Chadar,
Kumhlate Hain Jisam Sar-e Bazaar Kaisay Kaisay

Ye Shikwa Yaad-e-Yaaran Hai Ke Main,
Shab Bhar Bithaata Hoon Maykhawar Kaisay Kaisay

Tujhe Kiya Khabar Ahsin Wo Bichhara Huwa Shakhs,
Chhor Gaya Mujh Mein Aasaar Kaisay Kaisay.




Poetry by Ahsin Fayaz
Read 337 times
Written on 2021-07-05 at 10:03

Tags Urdu  Sad  Poetry 

dott Save as a bookmark (requires login)
dott Write a comment (requires login)
dott Send as email (requires login)
dott Print text