سوچتا ہوں وه اب کسے خفا کرتی ہوگی new sad Urdu Ghazal By Ahsin Fayaz


Sochta Hoon Wo Ab kise Khafa Karti Hogi

Sochta Hoon Wo Ab kise Khafa Karti Hogi
Meri Tarah Majabooriyon Sey Wafa Karti Hogi

Jab Tak Shaamil Hoon Us Ki Aarzon Mein,
Mujhe Yaqeen Hai Wo Zindagi Ki Dua Karti Hogi

Aayina Tanz Karta Hoga Aankhein Bhar Aati Hongin,
Wo Jab Majbooriyon Mein Saja Karti Hogi

Mein Bhi Yaad Aata Honga Usy Jab Kabhi,
Wo Phir Veeran Raaston Ko Takaa Karti Hogi

Itna To Waaqif Hoon Main Us Ke Mizaaj Sey,
Mere Naam Par Ghar Walon Sey Lara Karti Hogi

Rota Hoon Shab Bhar Us Ki Tasweer Dekh Ke,
Wo Bheegi Aankhon Sey Khawab Dekha Karti Hogi

Wo Daar-e-Zabt Mein Youn Bhi Sar-e Shaam Kahin,
Aansu Ki Barf Sey Aksar Jala Karti Hogi

Rakhti Hogi Aaj Bhi Wohi Pyaas Labon Pe,
Rasam-e-Duniya Mein Honton Sey Dagha Karti Hogi

Muddaton Pehle Tujh Sey Bichhari Huwi Larki Ahsin,
Ab Bhi Tujhe Har Mor Pe Sanbhala Karti Hogi.




Poetry by Ahsin Fayaz
Read 309 times
Written on 2021-07-05 at 10:06

Tags Urdu  Sad 

dott Save as a bookmark (requires login)
dott Write a comment (requires login)
dott Send as email (requires login)
dott Print text