Faslo ki kahan ladai???

Pani ne kuchh ghar duboye
kahin pyas bhi bujhai thi
Kuchh galat kuchh sahi ki aadat
Ishawar ne hi banayi thi,
Ujada ujada sa ye baghicha ha
mali ne kahan isme ghas ugayi thi,
Meri garibi ne sayad mujhe mara
faslo ki Kahan ye ladai thi,
Tum chale gaye yuun nazare churakar
hamne to aapke liye bastiya basayi thi,
Assan nhi hota bhulana kisi ko
pyar me ye ada aapne sikhai thi,
Logo ne kab kisi ko baki chhoda
gum ye ki aapne unki hami milayi thi,
Tum the to sab tha sab tha to rab tha
aur ye galtiya bhi rab ne karwai thi,
Kuchh lamhe usne de diye apne
varna kismat me hmare tanhai thi,
Kucch yuun hi kagaz pe likh deea ha
kambhakat yadd tumhari badi aayi thi.......




Poetry by rajesh poonia
Read 551 times
Written on 2008-12-27 at 06:26

dott Save as a bookmark (requires login)
dott Write a comment (requires login)
dott Send as email (requires login)
dott Print text



I would really like to comment on this, but I can't read this language or speak it. Can you give me an English intepretation to help me comment?
2008-12-27