The poem was made for Nagar Rastrbhasha Karyanvayan Samiti...Kavya partiyogita
Dayan huyi Mahngai Yaar...
Rukhsar madham madham gulabi
Hawayein julfon se sharabi
noor tapke tere har ang se
mahka hu main tere sang se,
madhushala chhalake tere labon se
kasam khakar kahta hu, hai tu hansi sabon se,
tere milne ka muddat se hai intzar
mujhe teri ibadat se kahan inkar
dil to bahut hai par kaise karu pyar,
pahle jeb khati thi, ab to dayan hui mehngai yaar,
Khat tere aane ka aaya hai
Par kambhkhat dil udass hai,
kharcha pahle hi jyada ho gayaa iss baar,
dil preshan jahan me duvidha apar
Dil tto bahut hai par kaise karu main pyar,
Pahle jeb khati thi ab to
dayan huyi mahngai yaar,
Mana ek tere aane se badalenge
ye saare gum khushi me,
Jindagi nachegi din katenge hansi me,
Khushi ko par main kya chatunga
bin paise ke din kaise katunga
Dil tto bahut hai par kaise karu main pyar,
Mahina aadhe se jyada padaa
pocket me rupaye bache bas char,
Pahle jeb khati thi ab to
dayan huyi mehngai yaar,
Par fikr na kar main to hu tera sadaa ke vaste
thode waqt ke liye jaraa ghuma le pyar ke raste
Sun Garib dil ki garib prem ki ye pukar, ankhiya kisi aur se kar le char tera arman nikal jayegaa, mera mahina badal jayegaa Fir tu aana agle mahine ki pahli ko meri jaan Picture dekh ke dinner karenge khayenge guleri paan
Dil tto bahut hai par kaise karu main pyar,
Pahle jeb khati thi ab to
dayan huyi mahngai yaar !
Poetry by rajesh poonia
Read 806 times
Written on 2010-08-24 at 09:22
Save as a bookmark (requires login)
Write a comment (requires login)
Send as email (requires login)
Print text